Dosti Mubarak
Dosti Mubarak


Dosti Mubarak,
Bin garzo ka rishta aur sath humesha jaise koi farishta
Ek meethi si tasalli, ki koi janta h me hu jhalli
Vo Rango ki potli ya muskurahaton ka chittha
Jb bat ho unki aa jaaye zuban pr koi khatta meethe kissa
Baat ho vo kalam ki ya ho koi fasana, zaruri sa lage unko btana
Vahi rakhwale khwahisho k jo dil me hi to rehte hai
Vo kaise log hote h jinhe hm dost kehte h

Sadiyo baad b baat kre, to bhi kl ki baat sunate h
Salo baat na krne se bhi jo rishte na murjhate hai
Baat ho jb jinki khil jaaye har hissa hissa
Jin se mohabbat ka hota hai sabse pehla rishta
Jeena bhul jaaye to aksar vo sikhate hai
Vo kaise log hote hai, jinhe hm dost kehte hai

~Ishika Aggarwal


Dosti Mubarak is inspired by the following poetry by Irfan Ahmad Mir
(dedicated to a decade-old friendship…)

vo kaise log hote haiñ jinheñ ham dost kahte haiñ

na koī ḳhuun kā rishta na koī saath sadiyoñ kā

magar ehsās apnoñ sā vo anjāne dilāte haiñ

vo kaise log hote haiñ jinheñ ham dost kahte haiñ

ḳhafā jab zindagī ho to vo aa ke thaam lete haiñ

rulā detī hai jab duniyā to aa kar muskurāte haiñ

vo kaise log hote haiñ jinheñ ham dost kahte haiñ

akele rāste pe jab maiñ kho jā.ūñ to milte haiñ

safar mushkil ho kitnā bhī magar vo saath jaate haiñ

vo kaise log hote haiñ jinheñ ham dost kahte haiñ

nazar ke paas hoñ na hoñ magar phir bhī tasallī hai

vahī mehmān ḳhvāboñ ke jo dil ke paas rahte haiñ

vo kaise log hote haiñ jinheñ ham dost kahte haiñ

~ Irfan Ahmad Mir

There is More for You


To subscribe to our Newsletter:
Leave a comment and select 'Notify me of new posts via email' while posting it.

Categories: Friendship

0 Comments

Leave a Reply

error: Content is protected !!